Yaado ki aandhi
yaado ki aandhi har saal aati
hai…..umas bhari ….bharipan se taravor…chubhan liye….mutthi bhar kasak liye….or
virah ki jwala se tapit aandhi aati hai har saal….jab yaad aati hai priytam ki
Sihar uthta hai sara
vatawaran…ye vaayu..ye ped,ye poudhe,,,,ye pura jahan tilmila uthta hai jab
kisi ka dil rota hai….jab bichdav ki pida mehsus hoti hai….yaadho ki aandhi me
silapan bhi hona zaruri hai
Varna vo chubhti hai
zehan me….dhundhlapan nahi jaata tab tak…jb tak kuch bunde na baras jaaye yaado
ke ambaar pe….
Ye yaade bhi na….na
jaane kyu bina kahe aa dhamakti hai…tute hue dil ko chaknachur kar deti hai
pida…
Tumaahi yaad
aksar muje
Reh reh ke aati
hai
Jo tumse me
jagadti thi
Vo bate hi
satati hai
Kuch ek yaad
aisi hai
Jo thoda
khilkhilati hai
Vo jab bhi anshu
aate the
Or tum mujko
satate the
Vahi kuch baat
aisi hain
Jo thoda
gudgudati hai
Muje thoda
hasati hai
sailab sa uthta hai
Jigar me or
dhasti hai
Tumhaari yaad
har ek
Meri ankho se
jharti hai
Meri khomoshi
sunkar ke
Muje smjhata hai
mausam,
Muje thoda
hasane ko
Ye paudhe naach
karte hai
Hawa kuch baat
karti hai
Ye kaisa
prarabhd hai mera
Jo mujme samaya
hai usi ki yaad aati hai
Jo mujme basa
hai
Vahi dur hai
kitna
Ye yaade bhi
kabhi uski bada tufaan laati hai
Muje jab yaad
jaad aati hai
Comments
Post a Comment