mohhabat

Mausam mohabbat ka,
bas itna fasana hai,
kagaz ki haweli hai,
barish ka zamana hai,
kya shart-e-mohabbat,
kya shart-e-zamana hai,
aawaz bhi zakhmi hai,
aur geet bhi gana hai,
us paar utarne ki umeed bohot kamm hai,
kashti bhi purani hai,
tufan ko bhi aana hai,
samjhe ya na samjhe wo andaaz mohabbat ke,
kisi shaks ko aankho se haal-e-dil sunana hai,
bholi si ada fir, ishq ki zidd par hai,
fir aag ka dariya hai,
aur doob ke jana hai...

Comments

Popular posts from this blog

a drop in the ocean ......a will in itself

An Open letter to Dr. APJ Abdul Kalam from the Common Man of India

CAT GYAN # 6